Yahaan Kadam Kadam pe mandir - masjid hain, Aur Bhagwan Kahin nahin. Yahaan apne apne Bhagwan se darne wale bhi hain par pyar Karne wale nahin. Har baat ko Sach banane ke liye kasmein khane walo ki bhi kami nahi koi, par Sach bolne Aur vishwas Karne wale hain hi nahin. Sabse jyada kasmein unhi ko khate Dekha hai jo vaayde tak nahi nibhate Aur vaayde nibhane wale kabhi kasmein nahi khate. Rang birangi is duniya ke taur tarike kuch badal se Gaye hain... Nahaa dhokar Bhagwan ko bhog lagane wale ek roti tak nahin dete bhookhe ko. Har dar pe sar jhukane wale parhez nahi karte jhuke saron ko thokar Marne se bhi. Ye kaisa daur aa gya hai... Aur kitni door hum aa Gaye hain... Yahaan ibaadat hoti hai sirf Aadat se na ki Irade se!
Beautifully you have explained the ironic state of world
ReplyDelete