Aadya ki pehli race

Aadya ki pehli race

Sochti hu... Ki nanhe bachhon ki kataar jo khadi hai jeewan ki Pehli race ke liye, Kya in nanhe bachho me spardha ya pratispardha ka bhaaw hota hoga?? Kya wo ye soch kar bhagte honge ki unhein jeetna hai? Kya Baaki ke bachhe ye soch kar udaas hote honge ki koi Aur un se aage jaa nikla Aur jeet Gaya... Kya wo apni haar ki wazah ko Khud mehsoos karte honge... ???

Mera dil kehta hai ki daud ke shuru hone wali lakeer se Pehle ye bache anjaan hote honge jeet, haar, eershya ya pratispardha se. Bas apni sfoorti, apni mad- masti Aur urja se daudte honge...  Fir ek bachha finishing line ko sabse Pehle paar kar jata hoga... Aur taliyaan goonj uthti hongi... Bachha dekhta hoga ki Sab kitne Khush hain... Maa- Baap- shikshak- dost Sab garv se dekh rahe hain... Aur wo bachha jeet ka swaad chakh leta hai. Baki Sab bachhe apni apni shreni ke hisaab se haar, eershya, Dukh, jeetne ki prerna ya dost ki jeet par khushi ka swaad chakh lete hain... Aur kul Mila ke ye unhein unke daudne ke Anand se nahin Milta... Ye relative knowledge hai ya yu kahein ki reflective knowledge hai. Yane ki unke Kisi kaam par Aas paas ke logo ki pratikriya se ubharne wali bhawnaaein Aur anubhav.

Zindagi Kadam dar Kadam Bahut kuch sikhati hai. Aadya ki Pehli daud, Pehli jeet Aur Bahut saare Pehle anubhav jo abhi ek halki lakeer se hain par aane wale samay me uski personality ki thos adharshila banenge ke liye aadya Aur uske mummy papa Aur uske pariwaar jano ko dher sari badhaiyaan. Ye Sab likhne ke dauran mere andar ka bachha baar baar hawa ke us prawaah ko apne chehre par mehsoos kar paa raha hai jise aadya ne apni masti mein daudte hue mehsoos kiya hoga...

Aadya tum abhi Bahut choti ho par mujhe Lagta hai... Hum Kya mehsoos karte hain ye samajh paane ki Aur Sokh (to absorb ) lene ki kala sabse Behtar bachhe hi jaante hain. So I know that aadya knows! 

Comments

  1. Kabhi socha nahi Tha itni gehraai se... We are too lost in passing judgements than enjoying the process... Well written!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Generosity

Thank You Driver of The Red Car