Aadya ki pehli race
Aadya ki pehli race Sochti hu... Ki nanhe bachhon ki kataar jo khadi hai jeewan ki Pehli race ke liye, Kya in nanhe bachho me spardha ya pratispardha ka bhaaw hota hoga?? Kya wo ye soch kar bhagte honge ki unhein jeetna hai? Kya Baaki ke bachhe ye soch kar udaas hote honge ki koi Aur un se aage jaa nikla Aur jeet Gaya... Kya wo apni haar ki wazah ko Khud mehsoos karte honge... ??? Mera dil kehta hai ki daud ke shuru hone wali lakeer se Pehle ye bache anjaan hote honge jeet, haar, eershya ya pratispardha se. Bas apni sfoorti, apni mad- masti Aur urja se daudte honge... Fir ek bachha finishing line ko sabse Pehle paar kar jata hoga... Aur taliyaan goonj uthti hongi... Bachha dekhta hoga ki Sab kitne Khush hain... Maa- Baap- shikshak- dost Sab garv se dekh rahe hain... Aur wo bachha jeet ka swaad chakh leta hai. Baki Sab bachhe apni apni shreni ke hisaab se haar, eershya, Dukh, jeetne ki prerna ya dost ki jeet par khushi ka swaad chakh lete hain... Aur kul Mila ke ye unhein un...